• To make this place safe and authentic we allow only registered members to participate. Advertising and link posting is not allowed, For Advertising contact admin.

Punjab main agricultre aur zaraat ko kese behtar kia jaa sakta hai?

Hassan Khan

New Member
Punjab main agriculture ki wazaraat ki zmdari srdar Mohammed sbtain Khan ko di gai hy ...app tamaam members apni tajaveez dain ..kesaan ko khush haal kia ja skta hy ..Zaraat ki behtri k lye kia aqdamaat kye jain .

40273300_1583367605102863_5993076697732218880_n.jpg
 
Jnb phaly to engro or mazeed spary or khadeen jitni bi han sub double kama rahy hn unky rates neechy la ker ayen

Agr rates neechy nai la ker askty to govt khud sale purchase shuru kery us se mulk or kisan dono ko faida hoga
Kisan ko ligt bht kam rate per ya phr bilkul he free provide ki jaye

Fertilizers k prices ma istehqam.
Nehri pani kely iqdamat.
Seed ka masla ha kafe..
Agriculture govt officers fresh lagye jayen purane waly to bs kisi taky ka kam nai kerty
 
1. Mehkama zaraat hawalay say her ilaqay mai competent madedgar o muawin officers mojood hoon.
2. Research ko taiz kiya jai
3. Online Information and data ki tarseel ko aam banaya jaya ta k log zada say zada faida utha sakain
4. Zarat may behtri k lia pakistan ka sb say bara edara university of agriculture faisalabad ki khbar lain
 

imran ali

Member
Trectore sceme
Bijlli+ khad sasti ki jay
Diesal sasta kia jay
Kamad+ gandam+chawal +kapas ki imdadi qemat ki jay
Kamad par katotian khatam our paymint net krwai jay
Achy seeds ki availability
 
1khad sasti kry
2beache process new tecnogly laye
3pesticides ko sasta kia jaye
4out put achi qeemat or barwqt khidari markz bnaye jaien
5 choty kisanoo ko blasood qarzy deaye jaien

Rates milne chayee jitni kisan ki mehnat hoti ha us tarhn ma rates hone chayee kisan Pakistan me sub ae ameer hona chayee
 

Hassan abbas

New Member
Jnb fasaloo ki rates achey dain aur middleman se chutkara dilwaien....tehsil aur union council aur municpal commettee level pe agriculture laboratory banaie jaye jiss se zameenoo ka tajziya ho sakey....govt jadeed equipments aur drip irrigation kisaano ko mutarif kerwaye....sugarcane harvester jaisey latest equipments le kr aaye....aur village level pe govt khud milk collection centres banaye yahaan tou engro good milk nestle waloo ne farmers ka khoon choosa howa hai
 
Sir un sY request karain k plz Allo ko export krnY pY koi hikmat amli lain Kisan Boht ziada Preshan hain store mai Allo pary hain 900 k bikk raHy hain us mai 400 store ka rent hY or 200 rupees us bori k jis mai dal K Allo rakhy hain Baqi piChy bachy 300 rupees aab aap khud hisab lgain 115 kg Allo sirf 300 Mai Yani K 3 rupees per kg Allo..
Oo khudra Rahm kRo Kisan py jo itni mahnAt krta hy..
 

ch adeel

Member
Nehri pani ki off the record sale band ki jaey.non traditional crops lgwa kr un ki sale ka mechanism confirm kia jaey.agri extension department ko private consultancy provide krny wali companies ki trz per chalaya jaey.

Kisan ko rate acha mily to sab thek ha mhngi khad bej r dwai ly k rate us hisab sy ni mlta kisan ko

Nehri pani ki tarseel ko thek kia jae... Pani chori ko band kia jae

nehari nizam ko drust kia jaye . nehar (canal) ko pukhta kia jaye.

Cash crops ka rate bejai sy phly fixed kiay jay

Nahro ki wara bandi khatam ki jay meanz pani ki kami ko pura ki jay kisan khushal ho ga ......

First of all Stop bringing vegetables and fruits from India

Kissan ko fasal ka acha rate den khaad and spray ki price kam ker den and kissan ko bheek me subsidy nai chahye jo haq hai wo mil jai
 

saifullah

New Member
Asal masla hai kisan ko seed fertilizers machiners sasti di jaye Aur research ko active kiya jaye taka new agricultural techniques sa zyada productions asal ki ja saka
 

asad riaz

Member
Sb se pehlay zarat ki behtri k liae fertilizee r pesticides ki prices reduces krn bad mei munsib rate diae jae crops js se zamidar khuhhal ho pani k l
 

sultan shah

New Member
Please help may be rendered for water logged land's moreover every tehsil must have qualified officer for field testing and advise to farmers

Sugar mafia say azad krya jay, sugar cane ki payment kisan kay account main ki jay
 
Transfer technology to increase our crop shelf life. We destroy or convert our produce like vegetables and fruits into animal feed when price in the market is low. If we store and wait for price rise in market our farmer never will make loss on his produce. This storage facility must be at village level to make easy excess to all farmers.
 

Pakistani malik

New Member
Nehre pani ki division better kia jai.
Solar panels pai taxis khtm kiy jien takh zamindar apny bor solar pai convert kr skien.
Disel pai texis khtm kiy jien ya jetna bh tex ly rhy hn unhin dams ki mud mn collection kia jai.
Khadiun ki kematiun mn kmi ki jai.
Pesticides ka meyar better kia jai.
Ar export krny ki sohliat from ki jien.
Ar jo chese zrorat sy zaida paida ho jai govt khud purchase kr ky samdar mn dal dy ya export kr dy.
 
Top